Aug 22, 2014

Hum na samjhay teri nazron ka takaza kiya hai




Hum na samjhay teri nazron ka takaza kiya hai 
Kabhi jalwa kabhi parda yeh tamasha kiya hai 

Mujh ko mad'hosh sa kar rakha hai teri aankhon ne 
Warna ae saaqi teray meh'khanay main kiya rakha hai 

Dekh laila teray majnoo ka kalaija kiya hai 
Khaak main mil kay bhi kehta hai keh abhi bigraa kiya hai 

Yeh suraahi sa badan le kay mere samnay na aa 
Main shraabi hoon , shraabi ka bhrosa kiya hai 

Apnay honton ko mere honton se choonay to de
Ik do ghoont se botal ka bigarta kiya hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...