Phir raat kay pehloo main sehar dhoond rahay hain
Hum phir koi imkaan-e-safar dhoond rahay hain
Be'naam khamoshi hai jahan pichlay dino se
Ghabra kay wahan zakhm-e-jiger dhoond rahay hain
Yeh shaam dhalay ab bhala ghar se nikal kar
Kis ko youn sar-e-raah guzar dhoond rahay hain
Kis kay liye be'taab hui jaati hain aankhain
Akhbaar main yeh kis ki khabar dhoond rahay hain
Dewaangi le ayi hai kis mor pe hum ko
Ghar loat kay aye hain to ghar dhoond rahay hain
Ab habas barha hai ti hawaon ki talab hai
Ab dhoop barhi hai to shajar dhoond rahay hain
Jo dard ki bujhti hui lo phir se barha day
Phir dast-e-saba main woh hunar dhoond rahay hain
No comments:
Post a Comment