Aug 20, 2014

Ik zamana hai keh hua jis kay husan pe mayel


Ik zamana hai keh hua jis kay husan pe mayel

Hum na kar sake us ko par kisi tarah qayel

Tujh ko jab na dekha tha kuch pata na tha hum ko 

Raanjha heer kay haathon kis tarah hua ghayel 

Kal bhi tera dar na khula , aaj bhi nahin umeed

Kal bhi hum hi sayel thay , aaj bhi hum hi sayel 

Zid hai hamari bhi tujh se dil lagaein gay 

Ik zamana hota rahay , garcha raah main hayel

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...