Aug 18, 2014

Ishq de ranglay rang



Ishq hawa main 
Ishq ghatta main 
Ishq kanak kay her khoshay main 
Ku ku karti ambwaa je se pyaar jata'ti koyal main 
Huk huk kar kay chalti gaaon ki saat surili chaki main 
Lambi se bareek si pak'dandi main ishq 
Bail (Ox) kay kaano se lipti hui 
Rang barang jhandi main ishq
Ghar kay darwaze pe latki dil jaisi us kundi main 
Jis main kisi sasi ka , heer ka , jati ka 
Dil atka ho 
Rang ba'rangay banton main 
Kikli main 
Guli danday main 
Chatt pe phaili baan ki chaar'pai main ishq 
Boorhi ' jhuriyon wali , galiyan deti 
Rotiyan chandhati
Seeday ki mai main ishq
Bhatti walay kay dano main 
Dard kay saath jo bhun jaatay hain 
Kaka ji ki boli main 
Jo pardesi kay oon ka keh kar 
Dana dunka chun jaatay hain 
Roop roop  main , rom rom main rang rang main 
ishq racha hai 
Dariya kay paani main dekho 
Saath gharray kay sohni kay sang tehar raha hai 
Heer kay gajray main , jooray main 
Ishq gulon main ishq safar main 
Ishq sajan ki mast nazar main 
Ishq de ranglay rang o beeba 
Ishq de ranglay rang 
Ishq day wakhray rang o maahi 
Ishq de wakhray rang 

Poet : Wasi Shah

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...