Aug 16, 2014

Jab bhi zameen kay qalb se aatay hain zal'zalay


Jab bhi zameen kay qalb se aatay hain zal'zalay 
Hanstay huye bashar ko rulaatay hain zal'zalay 

Duniya main jis maqaam pe aatay hain zal'zalay 
Qsar buland ho to giraatay hain zal'zalay  

Insaan ko yeh poochnay ka haq nahin mila 
Kiyon is kay baam-o-dar ko hilaatay hain zal'zalay  

Jin ko du akay baad khuda ne ata kiya 
Godi se maa ki un ko churaatay hain zal'zalay  

Jaisay khuda ne is liye paida kiya inhain 
Apni tabahi chor kay jaatay hain zal'zalay  

Kiya janay in ki nasal ko kab aye ga sha'oor
Ghar main yeh bin bulaye hi aatya hain zal'zalay  

In se kisi ko faida hota hai gar to ho 
Hum to yeh jaantay hain statay hain zal'zalay  

Poet : Akhtar Hashmi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...