Jissay chaha tha raaton kay andheron se ziada
Jis ki muskaan ki chamak thi suraj ki roshni se juda
Jis ne kiya tha kabhi mujh se aik wada
Keh meri sirf meri rahay gi woh sadaa
Toot gaye kaanch ki tarah sab waday
Ab to sirf bachi hain sirf mere aansoo aur us ki yaadain
Kabhi baithay baithay youn hi khooklay pan ka ehsaas hota hai
Keh aisa mera hi haal hai ya waisa us kay saath bhi hota hai
Ab to nazar aata hai sirf aik hi chehra , teray door janay se pehlay
Keh yeh khwaish , meri poori ho jaye
Us kay badlay main meri her saans chali jaye
No comments:
Post a Comment