Aug 22, 2014

Jo us kay paas tha woh mujhay daan kar gaya


Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya 

Jo us kay paas tha woh mujhay daan kar gaya 

Bichara kuch is adaa se keh rut hi badal gayi 

Ik shakhs sare shaher ko verran kar gaya 

Dil'chasp waqiya hai keh kal aik aziz dost 

Apnay mufaad par mujhay qurbaan kar gaya 

Kitni sudhar gayi hai judai main zindagi 

Haan woh jafa se mujh par to ehsaan kar gaya 

Imran main baat baat pe kehta tha jis ko jaan 

Woh shakhs aakrish mujhay be'jaan kar gaya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...