Guraiz shab se , sehar se kalaam rakhtay thay
Kabhi woh din thay keh zulfon main shaam rakhtay thay
Tumharay haath lagay hain to jo karo so karo
Wagarna tum se to hum so ghulaam rakhtay thay
Hamain bhi ghair liya ghar kay za'ham ne to khula
Kuch aur log bhi is main qayaam rakhtay thay
Yeh aur baat hamain dosti na raas ayi
Hawa thi saath to khushboo maqaam rakhtay thay
Na'janay kon se rut main bichar gaye woh log
Jo apnay dil main bhout ehtaraam rakhtay thay
Woh aa to jaata kabhi , hum to us kay raaston par
Diye jalaye huye subh-o-shaam rakhtay thay
Noshi Gilaani
No comments:
Post a Comment