Aug 26, 2014

Kaisa sang'dil hai us par kuch asar nahin karta



Kaisa sang'dil hai us par kuch asar nahin karta 
Mohabbat kiya kare ga woh meri qadar nahin karta 

Ek hum hain jo rakhtay hain khabar un ki her baat ki 
Ek woh hai jo hamari khaber nahin karta 

Sab kuch lutaye baithay hain hum jin ki chah main 
Ek nigah-e-ulfat bhi woh hamain nazar nahin karta 

Keh diya keh na guzrain un kay koochay se hum 
Dar se panay koi aisay be'dar to nahin karta 

Maanga hai khuda se us ko khudai ka wasta dy kar 
Suna hai aisi dua khuda be'asar nahin karta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...