Jo meri aankhon se khwaab dekho
To aik bhi shab na so sako gay
Keh laakh chahyo na hans sako gay
Hazaar chaho na ro sako gay
Keh khwaab kiya hain , azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh
Rafaqatein in main choot'ti hain
Mohabbatein in main rooth'ti hain
Panapti hain in main wehshatein si
Aziyatein in main phoot'ti hain
Inhi kay dar se khizaan hain jazbay
Inhi se shakhain si toot'ti hain
Ghamon ki bandish hain khwaab mere
Dukhon ki baarish hain khwaab mere
Ubal raha hai dukhon ka lawa
Rahain aatish khwaab mere
Khyaal sare jhulas gaye hain
Sulagti khwaish hain khwaab mere
Ukharti saansain hain zindagi ki
Lahoo ki sazish hain khwaab mere
Jo meri aankhon se khwaab dekho
To aik shab bhi na so sako gay
No comments:
Post a Comment