Jo meri aankhon se khwaab dekho
To ek shab bhi na so sako gay
Keh laakh chaho na hans sako gay
Hazaar chaho na ro sako gay
Keh khwaab kiya hain azaab hain yeh
Mere dukon ki kitaab hain yeh
Rafaaqatein in main choot'ti hain
Mohabbatein in main rooth'ti hain
Panapti hain in main wehshatein si
Azeeatein in main phoot'ti hain
Inhi kay dar se khizaan hain jazbay
Inhi se shaakhain si toot'ti hain
Ghamon ki bandish hain khwaab mere
Dukhon ki baarish hain khwaab mere
Ubal raha hai dukhon ka lawa
Raheen-e-aatish hain khwaab mere
Khyaal sare jhulas gaye hain
Sulagti khwaishein hain khwaab mere
Ukharti saansain hain zindagi ki
Lahoo ki sazish hain khwaab mere
Jo meri aankhon se khwaab dekho
To ek sab bhi na so sako gay
No comments:
Post a Comment