Aug 25, 2014

Kisi kay dihaan main tum kho gaye kiya


Ghazal sun kar parishaan ho gaye kiya 
Kisi kay dihaan main tum kho gaye kiya

Abhi kuch dair pehlay tak yahin thay 
Zamana ho gaya tum ko gaye kiya 

Kisi taza rafaqat ki lalak hai 
Puraanay zakham achay ho gaye kiya

Palat kar chara'gar kiyon aa gaye hain 
Shab-e-furqat kay maaray soo gaye kiya

Faraz itna na itraa hoslay par 
issay bhoolay zamanay ho gaye kiya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...