Aug 25, 2014

Kiya khuda sirf ghreebon pe sitam dhaata hai


Muflisoo! Apnay muqadar se shikayat na karo 

Is se insaan kay emaan main faraq aata hai 

Hum to na'cheez se banday hain hamain kiya maloom

Kon si baat main kiya maslihat-e-yazdaan hai

Kitna humraah-o-gunnah'gaar huye jaatay hain 

Kiya kaha? khanumaan bar'baad huye jaatay hain 

Dam ba dam aag kay be'reham laapaktay sholay 

Apnay boseeda makaan raakh kiye detay hain 

Khaak hi khaak hui jaati hai duniya apni 

Aur is aatish-o-zulmat kay sailaab main bhi 

Mar'mar-o-aahan-o-seemaan ki imaarat-e-buland 

Issi pindaar issi shaan se asteeda hain 

Kiya khuda sirf ghreebon pe sitam dhaata hai 

Theek kehtay ho magar khaam aqa'id walo 

Hum to taqdeer kay banday hain hamain kiya maloom 

Kon si baat main kiya maslihat-e-yazdaan hai 

Aur phir apni shikayat se bhi kiya hota hai 

Wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...