Ae musafir maanti hoon
Raasta dushwaar tar hai
Tere qadmon talay jalti zameen hai
Asmaan pe aik bhi baadil nahin hai
Ghar badar hona kisi kay wastay
Aur dar badar phirna khathan hai
Ae musafir !
Soch tu itna magar
Aur faisala kar
Tu akela to nahin is raastay par
Teri ham'raahi main koi aur bhi hai
Jo teri khatar sab hi kuch chor kar
Bas ik waday ko nibhanay kay liye
Is raastay pe chal raha hai
Woh bhi to insaan hai teri tarah
Ae Musafir
Phir is kay wastay tere chehray pe be'zaariyan kiyon?
Maanti hoon raasta dushwaar tar hai
Phir bhi lakin
Kiya ussay takleef na de ga tera rasta badalna
No comments:
Post a Comment