Kiyon hum se khafa ho gaye ae jaan-e-tamana
Bheegay huye mousam ka maza kiyon nahin letay
YEh raat , yeh barsaat , yeh sawan ka maheena
Aisay main to sholon ko bhi aa raha hai paseena
Is rut main ghreebon ki dua kiyon nahin letay
Bheegay huye mousam ka maza kiyon nahin letay
Dekho to zara jhaank kay baahir ki fizaa main
Barsaat ne ik aag laga di hai hawa main
Is aag ko seenay main basa kiyon nahin letay
Bheegay huye mousam ka maza kiyon nahin letay
Aya hai kissay raas judaai ka yeh aalam
Tarpain gay akelay main udhar aap idhar hum
Dil dil se meri jaan mila kiyon nahin letay
Bheegay huye mousam ka maza kiyon nahin letay
No comments:
Post a Comment