Gar us main tha bhi koi nuqs acha lagta tha
Kuch is tarah mujhay woh shakhs acha lagta tha
Bas ik din mujhay dekha tha aankh bhar us ne
Phir aainay ko mera aks acha lagta tha
Woh aankhon aankhon main is pyaar se phiraati thi
Kitaab-e-ghum ka her ik dars acha lagta tha
Kalaam-e-yaar ki talkhi se sochta hi na tha
Khraam-e-yaar ka woh raakhs acha lagta tha
Churaa gaya hai gaya waqat zaiqe warna
Hawaon kabhi lams acha lagta tha
No comments:
Post a Comment