Aug 18, 2014

MAin apni mohabbat ko shaher main ruswaa nahin karta



MAin apni mohabbat ko shaher main ruswaa nahin karta 

Mohabbat main bhi karta hoon magar char'cha nahin karta 

Jo mujh se milnay aa jaye , main us ka dil se khadim hoon

Jo uth kay jana chaye , main ussay roka nahin karta 

Jissay main chor deta hoon , ussay phir bhool jata hoon 

Phir us hasti ki janib main kabhi dekha nahin karta 

Tera israar sar aankhon pe tum ko bhool jayon main 

MAin koshish kar ke dekho ga , magar wada nahin karta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...