Main likhna chahti hoon
Hai magar kuch youn
Keh jab bhi main qalam kaghaz pe rakhti hoon
Qalam ki aankh roti hai
Warq pe aisay aansoo phail jaatay hain
Keh jin pe naam hain
In sab shaheedon ka
Jo apni khwaishon kay saath hi
Ab dafan hain
Apnay hi aangan main
Main rona chehti hoon
In tamana'on pe
Jo ab bhi kisi tooti hui chatt
Aur malbay kay kinaaray
Kisi veeran se dil main
Diye ki tarah roshan hain
Keh shayed mohjaza ho
Aur us ka hansata aangan
Muskuraatay khailtay bachay
Achanak samnay ayein
Aur amaa keh kar seenay se lipat jayein
Magar kuch bhi nahin hota
Zameen khamosh hai
Aur asmaan gum sum
Humaira Rahat
No comments:
Post a Comment