Eye Bank
MAin to is karb-e-nizara se tarap utha hoon
Kitnay aisay hain jinhain
HAsrat-e-beenai hai
Jin ki qismat main kabhi doulat-e-deedaar nahin
Jin ki qismat main tamasha na tamashae hai
Jo tarastay hain keh kirno ko barasta dekhain
Un se keh do keh woh ayein meri aankhain le kar
Is se pehlay keh mera jisam fana ho jaye
Is se pehlay keh yeh khaak'star jaan bhi na rahay
Is se pehlay keh hashar bar'pa ho jaye
APnay chehray pe lagaye koi meri aankhain
Kon seh paye ga lakin meri aankhon kay khwaab
Kis ko yeh hosala ho ga keh hamesha dekhaye
APni palkon ki saleebon se utarayhuye khwaab
Jin ki kirchiyon ki chubhan rooh main bas jaati hai
Zindagi , zindagi bhar kay liye kur'laati hai
Poet : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment