Matti ho kar ishq kiya hai , ik dariya ki rawani se
Dewaar-o-dar maang raha hoon main bhi behtay paani se
Be'khabari main hont diye ki lo ko choomnay wale thay
Woh to achanak phoot pari thi , khushboo raat ki rani se
Woh majboori mout hai jis main kasay ko buniyaad mili
Pyaas ki shiddat jab barhti hai dar lagta hai paani se
Duniya walon kay mansoobay meri samjh main aye hain
Zinda rehna seekh raha hoon , ab ghar ki veerani se
Jaisay terey darwaze tak dastak denay ponchay thay
APnay ghar bhi loat kar aatay hum itni asaani se
Hum ko sab maloom hai "Mohsin" haal pas-e-gardaab hai kiya
Aankh ne sachay gur seekhay hain suraj ki dar'baani se
Poet : Mohsin Israar
No comments:
Post a Comment