Aug 13, 2014

Mere mann kay aangan main kiyon apna roop sajati ho


Tum meri bhala kon hoti ho ?

Mere mann kay aangan main kiyon apna roop sajati ho 
Saray mousam beet gay , ab saj dhaj kar kiyon ati ho 
Kiyon mere mann ko jalati ho 
Tum meri bhala kon hoti ho ?

Barson pehlay main ne tum ko chupkay chupkay chaha tha 
Apnay mann main basaya tha 
Dheeray dheeray pyaar main kho kar 
Mann ko apnay jalaya tha 
Pehron khud ko rulaya tha 
Pyaar hi jeena pyaar hi marna 
Pyaar hi khl sarmaya tha 
Pyaar ki raahat kho kar jana 
Jo khuch tha sab maya tha 
Tum jo maya ki devi thein 
Sapno main khoyi rehtiein thein 
Neel gagan se anay wale shehzaday ki 
Baanhon main soyi rehti thein 
Khwaab saja kar aankhon main 
Jab tum ne apni umar ganwai 
Peechay murr kar kabhi na dekha 
Koi sada na tum tak ayi 
Phir ab ...!

Meray mann kay aangan main 
Chup chaap kharri kiyon roti ho 
Pyaar ki saji maala main 
Ashkon kay moti paroti ho 
Tum meri bhala kon hoti ho ?
Bhool gaya main sari baatein 
Beet gayein jeevan ki raatein 
Behtay ansoo , Aahein ,naalay
Le lo sab apni soghatein 
Ab kiyon tum pachtawa ban kar 
Meray khwaab churaati ho 
Bujhtay deep jalaati ho 
Tum meri bhala kon hoti ho ?
Tum meri bhala kon hoti ho ?
 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...