Meri jaan wapsi ka aik raasta rakhna parta hai
Taaluq toot bhi jaye to rishta rakhna parta hai
Jinhain hum dil ki gehraiyon se savha pyaar kartay hain
Jab us se baat ho to khaas lehja rakhna parta hai
Hamari rooh ki hiddat ko jo na sard parnay dy
Hamain apnay badan main aisa shola rakhna parta hai
Tujhay gar apni baatein na sunaaon ! to kahan jaaon
Keh tere samnay isi dil ka sheesha rakhna parta hai
Sada abaad rakhaye jo teri yaadon ko is dil main
Keh anay saath ik aisa bhi lamha rakhna parta hai
Hamaray dil main chahaye chaand jaisi laakhon galiyaan hon
Andheray kay liye bhi aik raasta rakhna parta hai
Bhalay jitnay bhi dukh , jitnay bhi gham hum ko milain
Mizaaj apna her ik surat shagufta rakhna parta hai
No comments:
Post a Comment