Aug 19, 2014

milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna

 
milay sadiyon ki pyaas aur pani , zara phir se kehna

bari dil ruba hai yeh sari kahani , zara phir se kehna

kahan se chala tha judaei ka saya nahin dekh paya

keh rastay main thi aanson ki rawani , zara phir se kehna

hawa yeh khabar tu sunati rahay aur main sunta rahoon

badalney ko hai ab yeh mousam-e-khazani , zara phir se kehna

mukar janey wala kabhi zindagi main kushi phir na paye

youn hi khtam kar lain chalo yeh kahani , zara phir se kehna

samay ke samandar ! kaha tu ne jo bhi , suna par na samjhay 

jawani ki nadi main tha tez pani ,zara phir se kehna

Poet : Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...