Aug 16, 2014

Mohabbat ab nahin ho gi


Sitaaray jo damaktay hain 

Kisi ki chashm-e-hairaan main 

Mulqaatein jo hoti hain 

Jamaal-e-abroo-e-baaran main 

Yeh na'abaad waqton main 

Dil-e-na'shaad main ho gi 

Mohabbat ab nahin ho gi 

Yeh kuch din baad main ho gi 

Guzar jayein gay jab yeh din 

Yeh un ki yaad main ho gi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...