Aug 6, 2014

Mujhay mat batana


Mujhay mat batana

Mujhay mat batana 
Keh tum ne mujhay chornay ka irada kiya tha 
To kiyon 
Aur kis waja se
Abhi to tumharay bicharnay ka dukh bhi nahin kam hua 
Abhi to main 
Baaton , kay wadon kay shaher-e-talismaat main 
Aankh par khush gumaani ki patti liye 
Tum ko pairon kay peechay , darakhton kay jhund 
Aur dewaar ki pushat par dhoondnay main magan hoon 
Kahin pe tumhari sada aur kahin pe tumhari mehak 
Mujh pe hansanay pe masroof hai 
Abhi tak tumhari hansi se nabird aazmaa hoon 
Aur is jung main 
Mera hatiyaar
Apni wafa par bharosa hai aur kuch nahin 
Issay kund karnay ki koshish na karna 
Mujhay mat batana...........

Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...