Aug 19, 2014

Mujhay saroor mila hai , teri sanaa akar kay {Hamd-e-bari-ta'ala}


Hamd-e-bari-ta'ala

Mujhay saroor mila hai , teri sanaa akar kay
Sada qareeb hi paya tujhay dua kar kay

Yeh kompalain , yah shagofay , yeh phool , barg-o-shajar
Shagufta rehtay hain , her dam teri sana kar kay

Bara karam hai tera , jo bhi de dia mujh ko
Main dil udaas karon kis liye gila kar kay

Khuda to tu hi hai , kon-o-makaan ka maalik
Main shair kehta hoon , bas tera aasra kar kay

Khata ka putla hoon aur waqat-e-shaam hai mujh par
Guzaar de meray ayaam dil'ruba kar kay 

Teray asool hain yaksaan yahan sabhi kay liye 
Nijaat pai thi younas(a.s) ne bhi dua kar kay 

Yeh phool hamd-o-sana kay khilay rahain "Sohraab"
Khuda qabool kare apna wasta kar kay 

Sohraab Jung Ludihanavi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...