Nahin jo dil main jaga to nazar main rehnay do 
Meri hayat ko apnay asar main rehnay do 
Koi to khwaab meri raat ka muqadar ho 
Koi to aks meri chashm-e-tar main rehnay do 
Main apni soch ko teri gali main chor aya 
Tum apni yaad ko meray hunar main rehnay do 
Yeh manzilain to kisi aur ka naseeb hain 
Mujhay faqat apnay junoon kay safar main rehnay do 
Haqeeqatein to bhout talkh ho gayi hain Saghar
Meray wajood ko khwabon kay ghar main rehnay do 
 
No comments:
Post a Comment