Aug 21, 2014

Pehlay mashoor thi apni sanjeedagi


Aap se mil kar hum kuch badal se gaye 
Shair parhnay lagay , gunguna'nay lagay 

Pehlay mashoor thi apni sanjeedagi
Ab to jab dekhaye muskuranay lagay 

Hum ko logon se milnay ka kab shouq tha 
Mehfil'araai ka hamain douq tha 

Aap kay wastay hum ne yeh bhi kiya 
Milnay julnay lagay , aanay jaanay lagay 

Hum ne aap ki dekhi dil'chaspiyan 
Aa gayi hum main bhi tabdeeliyan 

Ik musawar se bhi ho gayi dosti
Aur ghazlain bhi sunanay sunanay lagay 

Aap kay baray main pooch baitha koi 
Aya kahin hum se kiya bad'hawasi hui 

Kehnay wali thi jo baat woh na kahaei
Baat jo thi chupaani batanay lagay 

Ishq be'ghar karay , ishq be'dar karay 
Ishq ka sach hai koi thikana nahin 

Hum jo kal tak thay , thikanay kay aadmi 
Aap se mil kay kaisay thikanay lagay 

Pehlay mashoor thi apni sanjeedagi
Ab to jab dekhaye muskuranay lagay 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...