Aug 27, 2014

Phool roshan aur taaron ko mehaktay dekhta



Phool roshan aur taaron ko mehaktay dekhta
Kaash main qudrat kay rangon ko badaltay dekhta 

Sard raaton main pighalnay lagtay mere jism-o-jaan 
Garmiyon ki dhoop main khud ko thathartay dekha 

Dariya kay dhaaray nazar aatay kabhi sehra mujhay 
Aur sehra ki kharri faseelain dibootay dekhta 

Kaash boondain pairron ki shaakon pe ugti ik din 
Kaash main phoolon ko baarish main barastay dekhta 

Dekhta suraj ko apnay choolhay main jaltay huye
Aur ufaq se bhook ka chehra ubhartay dekhta 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...