Aug 20, 2014

Rait se butt na bana ae mere achay funkaar


Rait se butt na bana ae mere achay funkaar 
Ek lamhay ko tehar main tujhay pathar laa doon 
Main tere samnay ambaar laga doon lakin 
Kon se rang ka pathar tere kaam aye ga 
Surkh pathar jissay dil kehti hai be'dil duniya 
Ya woh pathraai hui aankh ka neela pathar 
Jis main sadiyon kay tahiyur kay pare hon dooray 

Kiya tujhay rooh kay pathar ki zaroorat ho gi 
Jis pe haq baat bhi pathar ki tarah giraati hai 
Ik woh pathar hai jissay kehtay hain tehzeeb-e-safed
Us kay mar'mar main siyah kiyon jhalak jaata hai 
Ik insaaf ka pathar bhi to hota hai magar 
Haath main tesha-e-zar ho to woh haath aata hai 

Jitnay mayaar hain is dour kay sab pathar hain 
Shair bhi raqs bhi tasveer-o-gina bhi pathar 
Mere ilhaam tera zehan-e-rasaa bhi pathar 
Is zamanay main her funkaar nishaan pathar hai 
Haath pathar hain teray , meri zubaan pathar hai 
Rait se butt na bana ae mere achay funkaar 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...