Aug 23, 2014

Safar dushwaar kitna hai


Kathan hai zindagi kitni 
Safar dushwaar kitna hai 
Kabhi paaon nahin chaltay 
Kabhi raastay nahin miltay 
Hamara saath de paye 
Koi aisa nahin milta 
Faqat aisay guzaaron to 
yeh shab-o-roz nahin kat'tay 
Yeh kat'tay thay kabhi pehlay 
Magar haan ab nahin kat'tay 
Mujhay phir bhi mere maalik 
Koi shikwa nahin tujh se
Main jaan pe khail sakta hoon 
Main her dukh jhail sakta hoon 
Agar tu aaj hi kar day 
Mohabbat hamsafar meri

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...