Aug 18, 2014

sajni se karo gay bahana kya


Insha ji utho ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya.
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi
Jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya

Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karo gay bahana kya

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare
Divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya

Poet : Ibn-e-Insha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...