Guzro na is tarah keh tamasha nahin hoon main
Samjho keh ab hoon aur dobara nahin hoon main
Ik taba'rang rang thi , so nazar-e-gul hui
Ab yeh keh apnay saath bhi rehta nahin hoon main
Tum ne bhi meray saath uthaye hain dukh bhout
Khush hoon keh raah-e-shouq main tanha nahin hoon main
Peechay na bhaag , waqat ki aye na shnaas dhoop
Saayon kay darmiyaan hoon , sayaa nahin hoon main
Jo kuch bhi hoon , main apni hi surat main hoon aleem
Ghalib nahin , meer-o-yagaana nahin hoon main
No comments:
Post a Comment