Naat
Shajar hajar tumhain jhuk kar salam kartay hain
Yeh be'zubaan tumhi se kalaam kartay hain
Zameen ko arsh-e-moala hai tera gumbad-e-sabz
Teri gali main farishtay qayaam kartay hain
Musafron ko tera dar hai manzil-e-aakhir
Yahin sab apni musafat tamaam kartay hain
Jinhain jahan main kahin bhi amaan nahin milti
Woh qaaflay yahan aa kar qayaam kartay hain
Nazar main phirtay hain teray diyaar kay manzir
Isi nawaah main hum subh-o-shaam kartay hain
Sakoon-e-dil ki inhi se umeed hai "Nasir
Jo apna faiz ghreebon pe aam kartay hain
Nasir Kazmi
No comments:
Post a Comment