Aug 23, 2014

Soch ka suraj doob raha hai


Aadha raasta teh kar aya 
Ab kiya soch raha hai aakhir
Anjaani manzil ki janib 
Chalta jaye
Ya wapis ho jaye raahi 
Soch kay hi aaghaz kiya tha 
So raston main aik chuna tha 
Aur ab soch hi rok rahi hai
Aagay bhi kuch tareeki hai
Loat kay jana bhi mushkil hai 
Soch ka suraj doob raha hai
Aisay raahi ki manzil hai aada raasta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...