Aug 1, 2014

Soz-e-gham de kay mujhe us ne ye irshaad kiya





Soz-e-gham de kay mujhe us ne ye irshaad kiya
ja tujhe kash-ma-kash-e-dahar se aazad kiya

wo karen bhi to kin alfaaz mein tera shikwa
jin ko teri nigaah_e lutf ne barbaad kiya

dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya
jab chalii sard hawa main ne tujhe yad kiya,

aise mein main tere taj-takalluf pe nisaar
phir to farmaaye wafa aap ne irshaad kiya

is ka rona nahi kyun tum ne kiya dil barbaad
is ka gham hai k bahut der mein barbaad kiya,

itna masuum hon fitrat se, kali jab chatakii
jhuk k main ne kaha, mujh se kuch irashaad kiya

meri har saans hai is baat ki shaahid_e maut
main ne har lutf k mauqe pe tujhe yad kiya

mujh ko to hosh nahi tum ko khabar ho shaayad
log kehte hain k tum ne mujhe barbaad kiya

wo tujhe yad kare jis ne bhulaya ho kabhi
hum ne tujh ko na bhulaya na kabhi yad kiya

kuch nahi is k siwaa 'josh' hariifon ka kalaam
wasl ne shaad kiya hijar ne nashaad kiya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...