Aug 30, 2014

Tujh se mil kar to yeh lagta hai ae ajnabi dost



Tujh se mil kar to yeh lagta hai ae ajnabi dost 
Tu meri pehli mohabbat thi meri aakhri dost 

Log her baat ka afsaana bana detay hain 
Yeh to duniya hai meri jaan kay dushman kay dost 

Teri qamat se se bhi lipti hai amar baali koi 
Meri chahat ko bhi duniya ki nazar khaa gayi dost

Yaad ayi hai to phir toot kay yaad ayi hai 
Koi guzri hui manzil , koi bhooli hui dost 

Ab bhi aye ho to ehsaan tumhara lakin 
Woh qayamat jo guzri thi guzri bhi gayi dost 

Tere lehjay ki thakhan main tera dil shaamil hai 
Aisa lagta hai judaai ki gharri aa gayi dost 

Baarish sang ka mousam hai mere shaher main to 
Tu yeh sheeshay sa badan lay kar kahan aa gyi dost 

Main ussay ehad-e-sukhan kaisay samjh loon jis ne 
Aakhri khatt main yeh likha tha faqat "aap ki dost"

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...