Aug 26, 2014

Tujhay chahaton se nikhaar doon


Meri arzoo hai tujhay pyaar doon 
Tujhay chahaton se nikhaar doon 

Kahin aanso'on main doob kar 
Tujhay her gharri main qaraar doon 

Main junoon-e-ishq main jhoom kar 
Tujhay qurbaton ka hisaar doon 

Mujhay tum se kitna pyaar hai 
Taaron ka kaisay shumaar doon 

Mere her taraf teri soch hai 
Kaisay main khud ko faraar doon 

Aa kar tum phir kho jaao na 
Tumhain apni rooh main main utaar doon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...