Na bhujha chragh-e-diyaar-e-dil , Na bicharnay ka tu malaal kar
Tujhay de gi jeenay ka hosla , meri yaad rakh le sambhaal kar
Yeh bhi kiya keh aik hi shakhs ko , kabhi sochna kabhi bhoolna
Jo na bujh sakay woh dia jala , jo na ho sakay woh kamaal kar
Gham-e-aarzoo meri justagoo, main simat kay aagay ru'baru
Yeh sakoot-e-marg hai kis liye , main jawaab doon tu sawaal kar
Tu bichar raha hai to soch lay, tera saath hai meri zindagi
Tujhay rokna meri mout hai , meri be'basi ka khyal kar
Yeh jo ik saa'at-e-wasal hai , sar-e-saat-e-zehan jami hui
Issi aik saa'at wisaal ko kabhi maah kar kabhi saal kar
Mere dard ka mere zabat ka , meri be'basi mere sabar ka
Jo yaqeen na aye to dekh lay , tu hawa main phool uchaal kar
Teri sarhaon pe main kiyon rukon mujhay rok mat mujhay jaanay dy
Meri saari umar safar ki hai , mujhay is qadar na nidhaal kar
Jo kabhi mily , woh kabool kar mujhay chor day mujhay bhool jaa
MAin hoon jazib-e-sitam aashna , tu bas apnay ghar ka khyaal kar
No comments:
Post a Comment