Aug 23, 2014

Unhain mujh se pyaar hai aaj kal


Yeh mizaaj-e-yaar ko kiya hua 

Unhain mujh se pyaar hai aaj kal 

Meri justagoo meri guftagoo 

Mera intizaar hai aaj kal 

Woh teray khatoot nikaalana 

Kabhi dekhna kabhi choomna 

Yahi mashgala yahi silsala 

Yahi karo'baar hai aaj kal 

Ussay qatal kar , ussay qatal kar 

Tujhay saat khoon maaf hain 

Teri saltanat , tera dab'daba 

Tera iqtadaar hai aaj kal 

Aray kaif kal tak to tu rand tha 

Mere yaar tujh ko yeh kiya hua 

Bara mazhabi , bara paarsa 

Bara deen'daar hai aaj kal 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...