Aug 21, 2014

Us ne bichar kar hijar ka ik ik mousam sehna seekh liya


Jalti bujhti dhoop main gard hawa main rehna seekh liya 

Us ne bichar kar hijar ka ik ik mousam sehna seekh liya 

Sahil saahil takraye Jab choor huye to hum ne bhi 

Dariya ki lehron main lehrain ban kar behna seekh liya 

Apna dukh bas apna hi dukh hota hai yeh jaan liya 

Apnay aap se apni sari baatein karna seekh liya 

Nayi nawaili tanhai ki baanhon main baanhain daal kar 

Raat gaye tak nehar kinaray baithay rehna seekh liya 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...