Samandar main utar'ta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gayi jab se
Koi bhi lafaz likhta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Teri yaadon ki khushboo khirkiyon main raqs karti hai
Tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Main hans kay jhail leta hoon judai ki sabhi rasmain
Galay jab us kay lagta hoon to aankhain bheeg jaati hain
NA janay ho gaya hoon hasaas is qadar main kab se
Kisi se baat karta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Woh sab guzray huye lamhaat mujh ko yaad atay hain
Tumharay khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Main sara din bhout masroof rehta hoon magar joun hi
Qadam chokhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Her ik muflis kay maatahy par alam ki daastanain hain
Koi chehra bhi parhta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Baray logon kay oonchay bad'numa aur sard mehlon ko
Ghreeb aankhon se takta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Tere koochay se ab mera taaluq wajabi sa hai
Magar jab bhi guzarta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Hazaron mousamon ki humkam'raani hai mere dil par
"Wasi" main jab bhi hansta hoon to aankhain bheeg jaati hain
Poet : Wasi Shah
No comments:
Post a Comment