Sochta hoon keh ussay neend bhi aati ho gi
Ya meri tarah faqat ashk bahati ho gi
Woh meri shakal mera naam bhulaanay wali
Apni tasveer se kiya aankh milaati ho gi
Is zameen par bhi hai sailaab mere ashkon se
Mere maatam ki sada arsh hilaati ho gi
Shaam hote hi woh chokhat pe jala kay shamain
Apni palkon pe kai khwaab sulaati ho gi
Us ne silwaa bhi liye hon gay siyaah rang libaas
Ab moharram ki tarah eid manati ho gi
Hoti ho gi mere bosay ki talab main pagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajati ho gi
Mere tareek zamano se nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilaati ho gi
Dil ki masoom ragain khud hi sulagti hon gi
Joun hi tasveer ka kona woh jalati ho gi
Roop de kar mujhay is main kisi sehzaday ka
APnay bachon ko kahani woh sunaati ho gi
No comments:
Post a Comment