Aug 22, 2014

Yeh haseen mor zindagi main aya hai pehli baar


Aankhon kay raastay se dil main utar jaana hai 
O meri jaan-e-ada tere dil ki her raah se guzar jana hai

Teri in jhuki nigahon main kitni gehraai hai 
In hi gehraaiyon main hum ko andar jaana hai 

PAl do pal ki yeh gharri pal do pal ka saath hai 
Waqat kabhi rukta nahin par hum ko ruk jaana hai 

Kab ho ga tere mere pyaar ka milan 
O meri dil'ruba ab hum ko sudhar jana hai 

Yeh haseen mor zindagi main aya hai pehli baar 
Hum ko ab tu hi bata hum ko kidhar jana hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...