Mohabbat ka ik pehar
YEh jo palkon pe rim jhim sitaron ka mela sa hai
Yeh jo aankhin main dukh sukh kay sawan ka raila sa hai
YEh jo teray bina , koi itna akela sa hai
Zindagi teri yaadon se mehka hua shaher hai
Sab mohabbat ka ik pehar hai
Sahilon pe yeh gharonday banay thay hum ne , tumhain yaad hai 
Rang baarish main kaisy urraye thay hum ne , tumhain yaad hai
Raaston main diye jalaye thay hum ne , tumhain yaad hai
Aainay kis tarah se sajaye thay hum ne , tumhain yaad hai
Koi khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahin
Gum hai neendon kay sehra main khushboo ka raasta kahin
Her khushi atay jaatay huye waqat ki lehar hai
Sab mohabbat ka ik pehar hai
Zindagi dhoop chayon ka ik kahil hai , bheer chat'ti nahin 
Aur isi khail main din guzarta nahin raat kat'ti nahin 
Tum nahin jaantay khwaishon ki musaafat samit'ti nahin 
Pyaar kartay huye aadmi ki kabhi umar ghat'ti nahin 
Dil ki dehleez pe aks , roshan teray naam se 
Rat'jagay aainayon main khilay hain kahin shaam se 
Ik dariya hai chaaron taraf darmiyaan behar hai 
Sab mohabbat ka ik pehar hai  
 
No comments:
Post a Comment