Mohabbat kay mousam
Zamanay kay sab mousamon se niraalay
Bahaar-o-khizaan in ki sab se juda
Alag in ka sookha , alag hai ghatta
Mohabbat kay khittay ki aab-o-hawa
Mawaraa, in anasar se jo
Mousamon kay tagiyur ki buniyaad hain
Yeh zamaan-o-makaan kay kam-o-baish se
Aisay azaad hain
Jaisay subha-e-azal
Jaisay shaam-e-fanaa
Shab-o-roz-e-aalam ki aankhon ko
YEh mohabbat kay mousam nahin maantay
Zindagi ki musaafat kay anjaam ko
Yeh mohabbat kay mousam nahin maantay
Rafaqat ki khushboo se khaali ho jo
Yeh koi aisa manzar nahin dekhtay
Wafa kay ilaawa kisi kaam ko
Yeh mohabbat kay mousam nahin maantay
No comments:
Post a Comment