Youn di hamain azaadi keh duniya hui hairaan
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Her simat musalmaan pe chaai thi tabaahi
Mulk apna tha aur aur ghairon kay haathon main thi shaahi
Aisay main utha deen-e-mohammad ka sipaahi
Aisay main utha deen-e-mohammad ka sipaahi
Aur naara-e-takbeer se di tu ne gawahi
Islaam ka jhanda liye aya sar-e-maidaan
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Dekha tha jo iqbaal ne ik khwaab sohaana
US khwaab ko ik roz haqeeqat hai banana
Yeh socha jo tu ne to hansa tujh pe zamana
Her chaal se chaha tujhay dushman ne harana
Maara tu ne woh daa'o keh dushman bhi gaye maan
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Larnay ka dushmano se ajab dhang nikala
Na toop , na bandooq , na talwaar , na bhaala
Sachai kay anmol asoolon ko sambhala
Jinnah teray paigham main jaado tha niraala
Emaan wale chal paray sun kar tera paighaam
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Nqsha badal kay rakh diya is mulk ka tu ne
Saya tha Mohammad ka khaleefa teray sar pe
Duniya se kaha tu ne koi hum se na uljhye
Likha hai is kamei pe shaheedon ne lahoo se
Azaad hai azaad rahain gay yeh musalmaan
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
Youn di hamain azaadi keh duniya hui hairaan
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan
No comments:
Post a Comment