Khwaab kiya dekhaye koi neend kay anjaam kay baad
Kis ko jeenay ki hawas , hashar kay hangaam kay baad
Ishq ne seekh hi li waqat ki taqseem kah ab
Woh mujhay yaad to ata hai magar kaam kay baad
Aik hi isam ko baarish ne hara rakha hai
Pairr pe naam to likhay gaye us naam kay baad
Hind se gidh ki tarah din mera khaa jatay hain
Harf milnay mujhay atay hain zara shaam kay baad
Mout woh saaqi keh jis kay kabhi thaktay nahin haath
Bharti jaye gi sada jaam ik jaam kay baad
Thak kay main baith gayi ab magar aye saya-e-talab
Kis kay khaimay pe nazar jaati thi her'gaam kay baad
Parveen Shakir
No comments:
Post a Comment