Hamd-e-bari-ta'ala
Zubaan pe mohar laga de jalaal aisa hai
Nazar ki taab se baahir , jamaal aisa hai
Nazar ki taab se baahir , jamaal aisa hai
Kahin dikhai na de aur her taraf moujood
Gumaan yaqeen main badal de , kamaal aisa hai
Woh noor jis ki samai nahin kisi dil main
Bashar ki soch se baahir , khyaal aisa hai
Her ik cheez nazar aati hai ziada saaf
Hamari rooh kay sheeshay main baal aisa hai
Arooj pe hai muqadar ba'feez chshm-e-karam
Yeh meer-e-umr-e-rawan ka zawaal aisa hai
Woh muskurain gay sun kar palat kay dekhain gay
Hamaray lab pe machalta sawaal aisa hai
Koi bhi waqat ho "Amjad" yeh phailta rehta hai
Dilon main fazal-e-khuda ka nihaal aisa hai
Amjad Islam Amjad
No comments:
Post a Comment