Aug 27, 2014

naa muzdaa-e-visaal na nazaara-e-jamaal



zulmat kaday main mere shab-e-gham kaa josh hai
ik shamma hai daliil-e-sahar, so khamosh hai


naa muzdaa-e-visaal na nazaara-e-jamaal
muddat hui keh aashtii-e-chashm-o-gosh hai


mai ne kiyaa hai husn-e-khud_aara ko be_hijaab
ae shauq yaa.n ijaazat-e-tasliim-e-hosh hai


gauhar ko ikd-e-gardan-e-khubaa.n me.n dekhanaa
kyaa auj par sitaaraa-e-gauhar_farosh hai


diidaar, vaadaa, hausalaa, saaqii, nigaah-e-mast
bazm-e-khayaal maikadaa-e-be_kharosh hai


ae taazaa vaaridan-e-bisaat-e-havaa-e-dil
zi.nhaar gar tumhe.n havas-e-na-o-nosh hai


dekho mujhe jo diidaa-e-ibarat_nigaah ho
merii suno jo gosh-e-nasiihat_niyosh hai


saaqii ba_jalvaa dushman-e-imaa.n-o-aagahii
mutarib ba_nagmaa rahazan-e-tamkiin-o-hosh hai


yaa shab ko dekhate the ki har goshaa-e-bisaat
daamaan-e-baagabaa.n-o-kaf-e-gul_farosh hai


lutf-e-khiiraam-e-saaqii-o-zauq-e-sadaa-e-chang
ye jannat-e-nigaah wo firdaus-e-gosh hai


ya subh dam jo dekhiiye aakar to bazm main
naa vo suruur-o-soz na josh-o-kharosh hai


daag-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kii jalii hui
ik shammaa rah gaii hai so vo bhii khamosh hai


aate hain gaib se ye mazaamii.n khayaal main
‘ghalib’, sariir-e-khaamaa navaa-e-sarosh hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...